Tuesday, June 28, 2011

mashki

dil hai ki boodhe bhishtee kee mashki!
aansuon se bhari hai,
kabhi pilaaye, kabhi rulaaye,
kabhi banjar ghazalon ko seenchne ke kaam aaye,
kabhi gham ke namak ko gholne ke.

us par laga har ek paiband,
meri har ek asambhav prem kahani ka pramaan hai.
ab ek aur kahani is par apnaa naam likh dena chaahtee hai.

'umr ka khayaal karo!' aaine se bikhre baal kehte hain,
'logon ke taane seh logi?' deewanagi poochtee hai,
aisa dhaaga bana hee nahee jo
ab naye paiband ko pucca kare
toot gayee is baar toh bikhar ke reh jaaogee
yeh keh kar dil ko samjhaaya bhi.

lekin dil hai jaise boodhe bhishtee ki mashki,
isko aab-e-ishq pilaane se fursat hee kahan,
jo bikharne ke dar se dhadakna band kare.